Nasir Shahzad

shabdon ki madhira se bhigo kar teri choli

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
shabdoñ kī madhira se bhigo kar tirī cholī
khelī hai sahelī tire sanjog meñ holī
dar aa.e darāḌoñ kabhī dīvāroñ se paalā
barsāt meñ Tapke hai mirā ghar mirī kholī
ḳhushbū ko uThā kar rakhā dāmān-e-duā meñ
sūraj kī kiran ruuh ke parde meñ piro lī
tote ne kahā kaun thā dariyā pe batā de
muuī hai kahāñ jā ke tū mainā mujhe bolī
is aas kā is pyaas kā daarū nahīñ koī
dayyā rī kanhaiyā se kaho laa.e na Dolī
tū bhaiñseñ churā.e ki kahīñ taḳht suhā.e
ye aan janad jaan tire naam pe gholī
sahrā meñ milā ḳhaak kā idrāk badan par
kohsār pe tā-mās kī bū-bās se dho lī
sau baar luTā chainā bahe ban tire nainā
ashkoñ se bharī dekhī hai sau baar ye jholī
rig-ved meñ ashlok haiñ yā lok sunā.eñ
bādal ghire mausam phire pustak jahāñ phūlī
maqtal se guzar kar jo baḌhe shāḳh-e-sināñ tak
ye ziist tujhe dekh ke us raah pe ho lī
Top Urdushayar.com