rabt bhī toḌā banī nit kī talab kā base bhī
patr bhī is ne likhe bheje mujhe sandes bhī
chaukhaTā dil kā yahāñ hai hū bahū tujh sā koī
hoñT bhī āñkheñ bhī chhab Dhab bhī tujhī sā face bhī
ziist ke path par nahīñ honā thā tujh mujh meñ milāp
har janam meñ priit ne dekhe badal kar bhes bhī
puut kī saaḌī gulābī āftābī jism par
laT guñdhī choTī ribbon shānoñ pe sañvre kes bhī
tujh se bichhḌe gaañv chhoTā shahr meñ aakar base
taj diye sab sañgī-sāthī tyaag Daalā des bhī
bas asāsa hai yahī ghar kā yahī ghar kī matā.a
sofa ik do bed kitābeñ aur ik show kes bhī
shā.irī meñ bāzuoñ ke saath dil bhī shal huā
āḳhirash majbūr ho kar haar dī ye race bhī
nīche in jharnoñ pe vaadī meñ kise jā kar milūñ
sañg ik sautan ke berī pī ga.e pardes bhī
jāntā thā kaun jiite haiñ yahī kuchh dekhne
dil pe sah leñge mohabbat meñ birah kī Thes bhī