Nasir Shahzad

kah de man ki baat to gori kahe ko sharmati hai

Nasir Shahzad

Okara, Punjab, Pakistan

1937-2007
kah de man kī baat to gorī kaahe ko sharmātī hai
shaam Dhale tujh ko kis aprādhī kī yaad satātī hai
tujh ko mujh se prem hai tū bekal hai merī chāhat meñ
terī pāyaliyā kī jhan jhan saare bhed batātī hai
khol ke ghūñghaT ke paT pyaar se kartī hai parnām mujhe
bhor bha.e jab niir bharan ko vo panghaT par aatī hai
bāñdh ga.ī hai mujh se ai dil bandhan priit kī Dorī se
gaañv kī vo naar jo apne jauban par itrātī hai
kuchh to batā do kaun hai jo tere manvā ko luuT gayā
kis kī ḳhātir to ma.abad meñ diip jalāne jaatī hai
'nāsir' ruuh meñ ghul jaatī hai mast mahak mādhūrī kī
jab sakhiyoñ ke sañg vo naarī nadiyā biich nahātī hai
Top Urdushayar.com