Aslam Emadi

tamam khel-tamashon ke darmiyan wahi

Aslam Emadi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1948
tamām khel-tamāshoñ ke darmiyān vahī
vo merā dushman-e-jāñ ya.anī mehrbān vahī
hazār rāste badle hazār svāñg rache
magar hai raqs meñ sar par ik āsmān vahī
sabhī ko us kī aziyyat kā hai yaqīn magar
hamāre shahr meñ hai rasm-e-imtihān vahī
tumhāre dard se jaage to un kī qadr khulī
vagarna pahle bhī apne the jism-o-jān vahī
vahī hurūf vahī apne be-asar fiqre
vahī bujhe hue mauzūa aur bayān vahī
Top Urdushayar.com