vahāñ har ek isī nashsha-e-anā meñ hai
ki ḳhāk-e-rahguzar-e-yār bhī havā meñ hai
alif se naam tirā tere naam se maiñ alif
ilāhī merā har ik dard is duā meñ hai
vahī kasīlī sī lazzat vahī siyāh maza
jo sirf hosh meñ thā harf-e-nā-ravā meñ hai
vo koī thā jo abhī uTh ke darmiyāñ se gayā
hisāb kiije to har ek apnī jā meñ hai
namī utar ga.ī dhartī meñ tah-ba-tah 'aslam'
bahār-e-ashk na.ī rut kī ibtidā meñ hai