vo shab-e-ġham jo kam añdherī thī
vo bhī merī anā kī subkī thī
ġham mirī zindagī meñ TuuT girā
varna ye shor-dār naddī thī
din bhī shab-rañg ban ga.e apne
pahle sūraj se aañkh miltī thī
kyā maqālāt-e-āshiqī paḌhte
bazm meñ ham ne aah khīñchī thī
jal rahe the hare-bhare jañgal
aisī be-vaqt aag phailī thī
maiñ khaḌā thā ukhaḌte patthar par
vo usī tarah shānt lagtī thī
is liye be-karāñ meñ jā pahuñche
duur tak rahguzar añdherī thī
is liye shahr meñ rahe betāb
tāb-kārī havā meñ phailī thī
chand roz aur muntazir rahte
vaise mil kar bhī jaan denī thī
shab-e-ranj-o-mahan kā zikr na kar
us kī har ik ghaḌī nashīlī thī
ham bhī 'aslam' isī gumān meñ haiñ
ham ne bhī koī zindagī jī thī