Aslam Emadi

koshish hai gar uski ki pareshan karega

Aslam Emadi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1948
koshish hai gar us kī ki pareshān karegā
vo dushman-e-jāñ dard ko āsān karegā
ham us ko javāboñ se pashemān kareñge
vo ham ko savāloñ se pashemān karegā
pahlū-tahī karte hue duzdīda jo dekhe
chehre ke ta.assur se vo hairān karegā
tū chhup ke hī aa.e ki bar-afganda-naqāb aa.e
dil kī yahī aadat hai ki nuqsān karegā
qazzāqoñ kī bastī meñ rahā karte haiñ ham sab
har ghar ko koī dūsrā vīrān karegā
har Tiis se ubhregī tirī yaad kī ḳhushbū
har zaḳhm mire shauq pe ehsān karegā
'aslam' ye sunā hai ki mirā shahr-e-vafā bhī
taḳhrīb ko sharminda-e-īqān karegā
Top Urdushayar.com