dil kī dhaḌkan ab rag-e-jāñ ke bahut nazdīk hai
raat be-āvāz be-andāz be-tahrīk hai
jam ga.ī haiñ tāroñ kī ā.ankhoñ pe bādal kī taheñ
Duub jaao zaat ke andar falak tārīk hai
kal ke lamhe aaj ke lamhoñ meñ mudġham ho ga.e
dekhnā ā.ankhoñ meñ ab jalva-numā tahrīk hai
tum mire kamre ke andar jhāñkne aa.e ho kyuuñ
so rahā huuñ chain se huuñ Thiik hai sab Thiik hai
maut kā lamha abhī aayā abhī jaane ko hai
chuum lo miTTī ko apnī hadiya-e-tabrīk hai
dosto āñkheñ na kholo ThanDī sāñseñ mat bharo
aa ga.e manzil pe tum 'aslam' bahut nazdīk hai