Aslam Emadi

KHud apni chaal se na-ashna rahe hai koi

Aslam Emadi

Hyderabad, Sindh, Pakistan

1948
ḳhud apnī chaal se nā-āshnā rahe hai koī
ḳhirad ke shahr meñ yuuñ lāpatā rahe hai koī
chalā to TuuT gayā phail hī gayā goyā
pahāḌ ban ke kahāñ tak khaḌā rahe hai koī
na harf-e-naf.i na chāk-e-sabāt-e-darmāñ hai
har ik fareb ke andar chhupā rahe hai koī
khaḌī haiñ chāroñ taraf apnī be-gunah sāñseñ
sadā-e-dard ke andar ghirā rahe hai koī
gurez āñkheñ liye jā rahe ho kamre meñ
junūñ ki ruuh se kab tak bachā rahe hai koī
qadam hai jazb ki sahrā hai rahguzar, qatre
hurūf-e-dil kī tarah Dāltā rahe hai koī
jo ḳhushbuoñ ke thapeḌe badan se Takrā.eñ
to 'aslam' aise meñ kab tak khaḌā rahe hai koī
Top Urdushayar.com