koī ishāra koī isti.āra kyūñkar ho
ab āsmān-e-suḳhan par sitāra kyūñkar ho
ab us ke rañg meñ hai besh-tar taġhāful sā
ab us se taur-shanāsī kā chāra kyūñkar ho
vo sach se ḳhush na agar ho to jhuuT boleñge
ki vo jo rūThe to apnā guzāra kyūñkar ho
unheñ ye fikr ki dil ko kahāñ chhupā rakkheñ
hameñ ye shauq ki dil kā ḳhasāra kyūñkar ho
uruuj kaise ho zauq-e-junūñ ko ab 'aslam'
sukūñ kā aa.ina ab paara paara kyūñkar ho