dil bhī patthar siina patthar aañkh pe paTTī rakkhī hai
kis ne ye paanī se bāhar ret pe machhlī rakkhī hai
maanā ki ta.amīr nahīñ ho paa.ī imārat rindoñ kī
chāñd pe rakhne vaale kī buniyād abhī bhī rakkhī hai
ye bhī anokhī baat hai yaaro matlab kaise samjhā jaa.e
imlī ke khaTTe paanī par shahd kī makkhī rakkhī hai
kaale bādal kā rishta to sūraj se nā-mumkin hai
kaalī laḌkī ke hoñToñ par raat kī raanī rakkhī hai
koshish to nākām rahī hai himmat lekin rakhtā huuñ
taaq meñ dīpak kaise jale ab ghar meñ āñdhī rakkhī hai
kyā bolegā aaj tarāzū bhed abhī khul jā.egā
ik palḌe meñ sach rakkhā hai ek meñ chāñdī rakkhī hai