Intizar Ghazipuri

duniya se kaun jata hai apni KHushi ke sath

Intizar Ghazipuri

duniyā se kaun jaatā hai apnī ḳhushī ke saath
vābasta ho agar na azal zindagī ke saath
bas itnī rasm-o-rāh hai is zindagī ke saath
ik ajnabī safar meñ milā ajnabī ke saath
yuuñ dushmanī bhī chaltī hai ab dostī ke saath
jaise añdherā rahtā hai har raushnī ke saath
mil jaa.e mujh ko ḳhaak jo qadmoñ kī aap ke
dil kyā hai maiñ to jaan bhī de duuñ ḳhushī ke saath
kyā tujh ko ḳhauf hashr meñ purshish kā 'intizār'
terā to hashr hogā muhibb-e-'alī' ke saath
Top Urdushayar.com