bijliyoñ ke raqīb hote haiñ
chaar tinke ajiib hote haiñ
yās-o-ummīd hasrat-o-armāñ
zindagī ke naqīb hote haiñ
jitne sayyād haiñ zamāne ke
āshiyāñ ke qarīb hote haiñ
dil ke zaḳhmoñ se khelne vaale
dil ke behtar tabīb hote haiñ
'intizār' intizār ke lamhe
dil ko misl-e-salīb hote haiñ