Intizar Ghazipuri

na puchho dosto main kis tarah hansta hansata hun

Intizar Ghazipuri

na pūchho dosto maiñ kis tarah hañstā hañsātā huuñ
tavajjoh yaad rakhtā huuñ taġhāful bhuul jaatā huuñ
mujhe to yaad hai maiñ aaj tak bhūlā nahīñ tujh ko
batā bhūle se tujh ko bhī kabhī maiñ yaad aatā huuñ
agar maazī bhulā baiThe to apnā haal kyā hogā
kahānī raat bhar ahl-e-chaman ko maiñ sunātā huuñ
ye kyā kam hai ki mere dil meñ pinhāñ daulat-e-ġham hai
maiñ akasr apnī palkoñ ko sitāroñ se sajātā huuñ
dil-e-vahshat-zada kā 'intizār' ab to ye aalam hai
ki ḳhud apnā nasheman apne hāthoñ se jalātā huuñ
Top Urdushayar.com