Intizar Ghazipuri

kahin shabnam kahin KHushbu kahin taza kali rakhna

Intizar Ghazipuri

kahīñ shabnam kahīñ ḳhushbū kahīñ taaza kalī rakhnā
purānī Diary meñ qaid kar ke zindagī rakhnā
ġhazal bhī roz biktī hai yahāñ bāzār meñ logo
hifāzat meñ nahīñ mumkin hai fann-e-shā.erī rakhnā
jo chālākī se paḌh loge to chehra sab batā degā
milāo haath jab us se nazar chehre pe bhī rakhnā
zarā tum 'intizār'-e-ḳhasta-jāñ kā hausla dekho
use bhātā hai bārish meñ libās-e-kāġhazī rakhnā
Top Urdushayar.com