Ishrat Zafar

mujhe kuchh aur bhi tapta sulagta chhoD jata hai

Ishrat Zafar

1944
mujhe kuchh aur bhī taptā sulagtā chhoḌ jaatā hai
sahāb aksar mere siine pe dariyā chhoḌ jaatā hai
vahī ik rā.egāñ lamha ki maiñ jis kā shanāvar huuñ
nigāhoñ meñ mirī shahr-e-tamāshā chhoḌ jaatā hai
guzartā hai jis ā.īne se bhī mausam sharāroñ kā
chaman ko saath le jaatā hai sahrā chhoḌ jaatā hai
navāh-e-dasht meñ ḳhush-manzarī taqsīm kartā hai
vo bādal jo mirī bastī ko pyāsā chhoḌ jaatā hai
mire kamre kī dīvāroñ meñ aise aa.ine bhī haiñ
ki jin ke paas har shaḳhs apnā chehrā chhoḌ jaatā hai
vo mere raaz mujh meñ chāhtā hai munkashif karnā
mujhe mere ghane saa.e meñ tanhā chhoḌ jaatā hai
ajab sho.ala hai 'ishrat' us kā lams-e-be-nihāyat bhī
mire chāroñ taraf jo ik ujālā chhoḌ jaatā hai
Top Urdushayar.com