Ishrat Zafar

zamin ghubar samundar sahab apni jagah

Ishrat Zafar

1944
zamīñ ġhubār samundar sahāb apnī jagah
magar maiñ aur mirā iztirāb apnī jagah
havā kī zad meñ hai har chiiz ḳhār-o-ḳhas kī tarah
kaho paḌe raheñ chup-chāp ḳhvāb apnī jagah
agarche bikhrī hai raakh us kī mere chāroñ taraf
vo lamha ab bhī hai apnā javāb apnī jagah
mire aqab meñ hai āvāza-e-numū kī guuñj
hai dasht-e-jāñ kā safar kāmyāb apnī jagah
zabāñ ko detā hai ehsās-e-tishnagī se najāt
vo zā.iqa hai sukūt-e-sarāb apnī jagah
na jaane hogā kahāñ ḳhema-e-badan 'ishrat'
ki chhoḌne ko hai har ik tanāb apnī jagah
Top Urdushayar.com