Ishrat Zafar

ye kis ne kah diya tujhse ki sahil chahta hun main

Ishrat Zafar

1944
ye kis ne kah diyā tujh se ki sāhil chāhtā huuñ maiñ
samundar huuñ samundar ko muqābil chāhtā huuñ maiñ
vo ik lamha jo tere qurb kī ḳhushbū se hai raushan
ab is lamhe ko pāband-e-salāsil chāhtā huuñ maiñ
vo chiñgārī jo hai mashshāq fann-e-sho.ala-sāzī meñ
use raushan tah-e-ḳhākistar-e-dil chāhtā huuñ maiñ
bahut be-zār hai umr-e-ravāñ sahrā-navardī se
pa.e-kār-e-junūñ taaza mashāġhil chāhtā huuñ maiñ
na ye ḳhvāhish ki vo miTTī meñ merī jazb ho jaa.e
na ḳhud ko dāstāñ meñ us kī shāmil chāhtā huuñ maiñ
ajab bismil hai 'ishrat' apne qātil se ye kahtā hai
sar-e-mahfil tujhe ai jān-e-mahfil chāhtā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com