tah meñ har paikar kī ik paikar ubhartā hai tirā
kaun iz.hār-e-musalsal rok saktā hai tirā
qatl ho jaatā hai jab sūraj diloñ ke dasht meñ
gahrī zulmat meñ ma.an sho.ala lapaktā hai tirā
naqsh ubharte haiñ tirī ḳhushbū ke sat.h-e-ḳhāk par
be-sadā gumbad meñ bhī taa.ir chahaktā hai tirā
sāġhar-e-gul se hazāroñ rañg uchhalte haiñ tire
ism-e-āzam sabz lauhoñ par chamaktā hai tirā
tāza-dam hai kitnī sadiyoñ kā safar karne ke ba.ad
qāfila kab dūri-e-manzil se thaktā hai tirā
lahlahātā hai dil-e-ishrat meñ roz o shab vo naḳhl
jis ke barg o shāḳh meñ mausam mahaktā hai tirā