har rag-e-ḳhār kī tahvīl meñ ḳhuuñ hai merā
be-karāñ dasht dabistān-e-junūñ hai merā
naqsh-e-mauhūm hai sab vus.at-e-raz-o-aflāk
mere shahpar ke tale said-e-zabūñ hai merā
shāḳheñ talvār kī sūrat haiñ gul-o-barg haiñ sañg
dil kā ye naḳhl giraftār-e-fusūñ hai merā
zaḳhm kyā hai kisī shamshīr-e-nigah kā ejaaz
ashk kyā hai samar-e-fasl-e-darūñ hai merā
hijr kā chāñd dahaktā huā añgāra sahī
magar is se bhī kahīñ shola fuzūñ hai merā
sab mire dil pe karam us nigah-e-nāz kā hai
be-qarārī hai mirī aur na sukūñ hai merā
ġham kā zahrāb rag o pai meñ jo utrā 'ishrat'
tab ye mālūm huā mujh ko vo kyuuñ hai merā