uThā.e dosh pe tārīḳh-e-hādsāt-e-jahāñ
guzar rahā hai dayār-e-hayāt se insāñ
bichhā rahā hai fazāoñ meñ dām-e-kāhkashāñ
tire gudāz badan kā tabassum-e-pinhāñ
laboñ pe laakh lagā.e koī sukūt kī mohr
magar ḳhamoshī na hogī jarāhatoñ kī zabāñ
bhaḌak uThe na kahīñ phir charāġh-e-zaḳhm kī lau
sambhal sambhal ke sunāo hadīs-e-shahr-e-butāñ
dhuāñ dhuāñ sī milī hai fazā-e-shahr-e-junūñ
bujhī hai raat ga.e jab bhī mash.al-e-zindāñ
ye vo jahāñ hai ki har shahr-e-sañg-o-ḳhisht ke ba.ad
qadam qadam pe hai 'ishrat' dayār-e-shīsha-garāñ