siyāh-ḳhāna-e-jāñ meñ sharār-e-shauq kī hai
ye tāzgī ye damak nau-bahār shauq kī hai
tamām zabza-o-dīvār zard hai phir bhī
dabī dabī sī sadā ābshār-e-shauq kī hai
yahī badan se badan kā hai vālihāna kalām
mirī ragoñ meñ jo mastī ḳhumār-e-shauq kī hai
na tund-o-tez havā hai na mauj-e-tūfāñ-ḳhez
yahī to umr miyāñ kārobār-e-shauq kī hai
hai dīdanī dar-o-dīvār aarzū kī chamak
ajiib raushnī sham-e-mazār-e-shauq kī hai
nigāh-e-nāz fusūñ-āfrīñ ko hai ma.alūm
ki nok TuuTī huī dil meñ ḳhār-e-shauq kī hai
yahī hai nuqta-e-āġhāz shahr-e-gul 'ishrat'
isī dayār meñ ḳhushbū dayār-e-shauq kī hai