sāhil pe samundar ke kuchh der Thahar jā.ūñ
mumkin hai ki maujoñ ke māthe pe ubhar jā.ūñ
tapte hue lamhoñ ko sairāb to kar jā.ūñ
ik mauj-e-sadā ban kar sahrā meñ bikhar jā.ūñ
har sañg hai ik shīsha har shīsha hai ik patthar
ai shahr-e-tilism āḳhir Thahrūñ ki guzar jā.ūñ
laao na ujāloñ ko is shahr kī sarhad tak
aisā na ho maiñ apne saa.e se hī Dar jā.ūñ
har samt fazāoñ meñ pathrāv kā aalam hai
shīshe kā badan le kar jā.ūñ to kidhar jā.ūñ
har shaam mire dil meñ detā hai sadā koī
maiñ Dūbte sūraj ke hamrāh na mar jā.ūñ
roke na agar mujh ko is dasht kī tanhā.ī
'ishrat' maiñ havāoñ ke paikar meñ utar jā.ūñ