Ishrat Zafar

main bhi raushan hun jamal-e-ruKH-e-jaanan mein kahin

Ishrat Zafar

1944
maiñ bhī raushan huuñ jamāl-e-ruḳh-e-jānāñ meñ kahīñ
ḳhaak parvāna bhī hai sho.ala-e-uryāñ meñ kahīñ
kisī paikar meñ bhī pahchān nahīñ hai us kī
kyā surāġh us kā mile dasht-o-gulistāñ meñ kahīñ
hijr ke daaġh meñ tabdīl huā lamha-e-vasl
thī kamī koī mire shauq-e-farāvāñ meñ kahīñ
jal gayā baaġh magar sham-e-numū-ḳhez kī lau
sabz hai har shajar-e-soḳhta-sāmāñ meñ kahīñ
mujh ko sho.aloñ meñ bhī jiine kā sikhātā hai hunar
ik samundar mire ātish-kada-e-jāñ meñ kahīñ
apnī vahshat kā ġhubār uThte hue dekhtā huuñ
maiñ bhī huuñ apne hī āhū-e-gurezāñ meñ kahīñ
'ishrat' ik harf-e-bashārat thī vo āvāz-e-qadam
ik charāġh aur jalā ḳhāna-e-imkāñ meñ kahīñ
Top Urdushayar.com