Ishrat Zafar

bahut hai ab meri aankhon ka aasman usko

Ishrat Zafar

1944
bahut hai ab mirī āñkhoñ kā āsmāñ us ko
gayā vo daur ki thī fikr-e-āshiyāñ us ko
kiyā hai saltanat-e-dil pe hukmarāñ us ko
navāzishoñ kā salīqa magar kahāñ us ko
shigāf-e-zaḳhm jo merā na khul gayā hotā
to kaise miltī ye shamshīr-e-kahkashāñ us ko
jidhar bhī jaatā hai vo shola-e-bahār-sarisht
duā.eñ detā hai amboh-e-kushtgāñ us ko
ḳhud us kī apnī chamak ne surāġh us kā diyā
chhupāyā maiñ ne bahut zer-e-āb-e-jāñ us ko
samundar apnā sā muñh le ke rah ga.e 'ishrat'
kiyā tarāvash-e-shabnam ne be-karāñ us ko
Top Urdushayar.com