chāroñ taraf ḳhalā meñ hai gahrā ġhubār sā
phir bhī kahīñ pe hai yūñhī kuchh āshkār sā
kyā phūTtā hai dil kī zamīñ se ba-rañg-e-ġham
kyā tairtā hai aañkh meñ naqsh-e-bahār sā
bikhre haiñ mere gird nishān-e-qadam mire
khīñchā hai maiñ ne apne liye bhī hisār sā
fursat jo ho to khul ke baras merī ḳhaak par
ban jā.ūñ maiñ bhī ek shajar sāya-dār sā
tanhā daraḳht maiñ bhī huuñ us ke kanār meñ
vo bhī mire qarīb hai ik jūebār sā
'ishrat' udaas taaq pe ye zard-rū charāġh
tanhā.iyoñ meñ merī hai ik ġham-gusār sā