jazb hai ḳhāmshī-e-gul meñ takallum terā
jāvedāñ mere chaman meñ hai tabassum terā
baaġh meñ sail-e-numū-ḳhez kī halchal terī
dasht meñ shor-e-sipāh-e-mah-o-anjum terā
terī marhūn-e-navāzish mirī sarshāri-e-ḳhāk
mai-kada terā mai-e-nāb tirī ḳhum terā
ḳhushk-o-tar past-o-buland ā.īna-e-shām-o-sahr
mehrbāñ sab pe hai sailāb-e-tarahhum terā
sab tire zer-e-nagīñ mauj samundar sāhil
bādbāñ terā tirī naav talātum terā
chashma-e-āb-e-ravāñ hai jo sarāb-e-jāñ meñ
us kī har lahr meñ raqsāñ hai tarannum terā
hai tirī miTTī ke har zarre pe ehsāñ jis kā
'ishrat' us zaat meñ har naqsh huā gum terā