falak ne bheje haiñ kyā jaane kis vasīle se
lahū ke bahr meñ bhī kuchh sadaf haiñ niile se
abhī to qāfila-e-bād sabz raah meñ hai
isī liye to haiñ ashjār-e-dasht piile se
jo mere saath hai sadiyoñ se misl-e-aks-e-bahār
ḳhabar nahīñ ki hai vo shaḳhs kis qabīle se
paḌā hai kab se siyah-posh merā dasht-e-badan
charāġh is meñ jalā de kisī bhī hiile se
qayās kahtā hai un ke aqab meñ hai sūraj
chamak rahe haiñ ufaq par jo zard Tiile se
hai lams-e-āb se mahrūm dasht-e-ḳhāk-o-havā
na jaane kis liye zarrāt phir haiñ giile se
ragoñ meñ aaj bhī raushan haiñ surḳh-o-zard charāġh
ajiib shai the vo ishrat badan nashīle se