na sail-e-rañg na sayyāra māhtāb mirā
hai mere siine meñ añgāra māhtāb mirā
chhaTī ufuq kī siyah-gard to dikhā.ī diyā
payām-e-vasl kā harkāra māhtāb mirā
ḳhalā meñ muztarib-o-be-qayām merī tarah
ye mere dasht kā banjāra māhtāb mirā
ḳhunuk havāoñ kā maskan bisāt-e-ḳhāk mirī
lahū kī aañch kā gahvāra māhtāb mirā
chihār samt mare āb-zār aur is meñ
ġhurūb hotā huā taarā māhtāb mirā
ḳhud apne nuur se kartā hai iktisāb-e-jamāl
vo ek shola-e-āvārā māhtāb mirā
tamām raat muḳhātib rahā mare dil se
vahī sukūt kā favvārā māhtāb mirā
zamīñ pe dhuum mire zaḳhm-e-nā-shagufta kī
falak pe hāsil-e-nazzārā māhtāb mirā
maiñ justujū meñ usī kūza-gar kī huuñ 'ishrat'
hai jis ke chaak kā fan-pāra māhtāb mirā