Ishrat Zafar

har ek ahd mein jo sangsar hota raha

Ishrat Zafar

1944
har ek ahd meñ jo sañgsār hotā rahā
lahū lahū maiñ usī harf ke badan meñ huuñ
zabān kyuuñ nahīñ bantī hai ham-navā dil kī
ye shaḳhs kaun hai maiñ kis ke pairahan meñ huuñ
mire lahū se hī us ne sipar kā kaam liyā
use ḳhabar thī ki maiñ taaq apne fan meñ huuñ
har aa.ine meñ hai mahfūz merī hī tasvīr
bahut dinoñ se maiñ ḳhud apnī anjuman meñ huuñ
sadā.eñ detā hai 'ishrat' koī mire andar
ki maiñ rafīq tirā rāh-e-pur-shikan meñ huuñ
Top Urdushayar.com