Ziya Shabnami

apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe

Ziya Shabnami

apnī tash.hīr kare yā mujhe rusvā dekhe
vo mire vāste is shahr meñ kyā kyā dekhe
lamha-e-rafta ko āvāz to detī hogī
ā.īna ā.īna jab koī vo mujh sā dekhe
shaam kī āḳhirī sarhad pe mirī tarah koī
apnī barbādī kā ḳhud hī na tamāshā dekhe
apne bachchoñ ko duā detā huuñ ye shaam o sahar
merī hī tarah ye duniyā tumheñ hañstā dekhe
pesh-e-ā.īna maiñ ab us ko sañvartā dekhūñ
sīḌhiyoñ se jo mujhe roz utartā dekhe
kis ne māñgī thī sar-e-shām duā mere liye
aaj kī raat tujhe chāñd na tanhā dekhe
maiñ chalā jā.ūñ to vo der talak khiḌkī se
shaam kī dhund meñ sach-much mirā rastā dekhe
mere ḳhvāboñ kī sadāqat ko zabāñ mil jaa.e
sub.h-dam jūñhī 'ziyā' apnā vo chehrā dekhe
Top Urdushayar.com