Ziya Shabnami

qurbaton ke ye silsile bhi hain

Ziya Shabnami

qurbatoñ ke ye silsile bhī haiñ
chashm-dar-chashm ratjage bhī haiñ
jaane vaale dinoñ ke baare meñ
aane vāloñ se pūchhte bhī haiñ
baat karne se pahle achchhī tarah
ham bahut der sochte bhī haiñ
tirī ḳhush-hāliyoñ kī qāmat ko
tere maazī se nāpte bhī haiñ
Dūbte chāñd ko darīche meñ
chashm-e-pur-nam se dekhte bhī haiñ
muskurāne ke saath yaad rahe
qaus ke rañg TūTte bhī haiñ
shaam hote hī bastiyoñ se duur
saa.e sāyoñ se bolte bhī haiñ
terī pahchān kar ga.ī rusvā
laakh bach bach ke ham chale bhī haiñ
qurbatoñ kī mahak mahak hai vahī
darmiyāñ yuuñ to fāsle bhī haiñ
apnā chehra gavāhī detā hai
ruup kī dhuup meñ jale bhī haiñ
chāñd ke saath saath rātoñ ko
us ke ghar tak 'ziyā' ga.e bhī haiñ
Top Urdushayar.com