Qabil Ajmeri

jahan-e-arzu aawaz hi aawaz hota hai

Qabil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1931-1962
jahān-e-ārzū āvāz hī āvāz hotā hai
baḌī mushkil se ehsās-e-shikast-e-sāz hotā hai
hameñ kyā aap anjām-e-mohabbat se Darāte haiñ
hamāre ḳhuun se har daur kā āġhāz hotā hai
qafas hai daam hai bhaḌkī huī hai ātish-e-gul bhī
isī māhaul meñ andāza-e-parvāz hotā hai
pighal jaatī haiñ zanjīreñ sulag uThtī haiñ dīvāreñ
lab-e-ḳhāmosh meñ vo shola-e-āvāz hotā hai
mohabbat kī haqīqat khul ga.ī chāk-e-girebāñ se
junūñ bhī ek manzil meñ zamāna-sāz hotā hai
hamīñ par munhasir hai raunaq-e-bazm-e-jahāñ 'qābil'
koī naġhma ho apnā hī rahīn-e-saz hotā hai
Top Urdushayar.com