surāhī kā bharam khultā na merī tishnagī hotī
zarā tum ne nigāh-e-nāz ko taklīf dī hotī
maqām-e-āshiqī duniyā ne samjhā hī nahīñ varna
jahāñ tak terā ġham hotā vahīñ tak zindagī hotī
tumhārī aarzū kyuuñ dil ke vīrāne meñ aa pahuñchī
bahāroñ meñ palī hotī sitāroñ meñ rahī hotī
zamāne kī shikāyat kyā zamāna kis kī suntā hai
magar tum ne to āvāz-e-junūñ pahchān lī hotī
ye sab rañgīniyāñ ḳhūn-e-tamannā se ibārat haiñ
shikast-e-dil na hotī to shikast-e-zindagī hotī
razā-e-dost 'qābil' merā me.ayār-e-mohabbat hai
unheñ bhī bhuul saktā thā agar un kī ḳhushī hotī