ab ye aalam hai ki ġham kī bhī ḳhabar hotī nahīñ
ashk bah jaate haiñ lekin aañkh tar hotī nahīñ
phir koī kam-baḳht kashtī nazr-e-tūfāñ ho ga.ī
varna sāhil par udāsī is qadar hotī nahīñ
terā andāz-e-taġhāful hai junūñ meñ aaj kal
chaak kar letā huuñ dāman aur ḳhabar hotī nahīñ
haa.e kis aalam meñ chhoḌā hai tumhāre ġham ne saath
jab qazā bhī zindagī kī chāra-gar hotī nahīñ
rañg-e-mahfil chāhtā hai ik mukammal inqalāb
chand sham.oñ ke bhaḌakne se sahar hotī nahīñ
iztirāb-e-dil se 'qābil' vo nigāh-e-be-niyāz
be-ḳhabar ma.alūm hotī hai magar hotī nahīñ