Qabil Ajmeri

aalam-e-soz-e-tamanna be-karan karte chalo

Qabil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1931-1962
ālam-e-soz-e-tamannā be-karāñ karte chalo
zarre zarre ko sharīk-e-kārvāñ karte chalo
kitne raushan haiñ vo aariz kitne shīrīñ haiñ vo lab
rāsta kaT jā.egā zikr-e-butāñ karte chalo
shām-e-ġham kī zulmateñ haiñ aur sahrā-e-hayāt
dīda-e-bedār ko anjum-fishāñ karte chalo
rāste meñ bujh na jaa.eñ ārzuoñ ke charāġh
zikr-e-manzil kārvāñ-dar-kārvāñ karte chalo
jaane kis aalam meñ aa.eñ aane vaale qāfile
sāya-e-dīvār-e-jānāñ jāvedāñ karte chalo
mazhar-e-tahzīb hai ik ek tār-e-pairahan
bas yūñhī andāza-e-sūd-o-ziyāñ karte chalo
Top Urdushayar.com