dil-e-dīvāna arz-e-hāl par maa.il to kyā hogā
magar vo pūchh baiThe ḳhud hī hāl-e-dil to kyā hogā
hamārā kyā hameñ to Dūbnā hai Duub jā.eñge
magar tūfān jā pahuñchā lab-e-sāhil to kyā hogā
sharāb-e-nāb hī se hosh uḌ jaate haiñ insāñ ke
tirā kaif-e-nazar bhī ho gayā shāmil to kyā hogā
ḳhirad kī rahbarī ne to hameñ ye din dikhā.e haiñ
junūñ ho jā.egā jab rahbar-e-manzil to kyā hogā
koī pūchhe to sāhil par bharosa karne vāloñ se
agar tūfāñ kī zad meñ aa gayā sāhil to kyā hogā
ḳhud us kī zindagī ab us se barham hotī jaatī hai
unheñ hogā bhī pās-e-ḳhātir-e-'qābil' to kyā hogā