Qabil Ajmeri

ashkon mein husn-e-dost dikhati hai chandni

Qabil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1931-1962
ashkoñ meñ husn-e-dost dikhātī hai chāndnī
shabnam ko chaar chāñd lagātī hai chāndnī
ab bhī udaas udaas haiñ rāteñ tire baġhair
ab bhī bujhī bujhī nazar aatī hai chāndnī
jis ne charāġh-e-shām-e-ġharībāñ bujhā diyā
us haath kā mazāq uḌātī hai chāndnī
tere faroġh-e-husn se ye bhī na ho sakā
nazroñ ke hausle to baḌhātī hai chāndnī
ḳhush-bū-e-intizār se mahkī huī hai raat
'qābil' na jaane kis ko bulātī hai chāndnī
Top Urdushayar.com