havādis ham-safar apne talātum ham-ināñ apnā
zamāna luuT saktā hai to luuTe kārvāñ apnā
nasīm-e-sub.h se kyā TūTtā ḳhvāb-e-girāñ apnā
koī nādān bijlī chhū ga.ī hai āshiyāñ apnā
hameñ bhī dekh lo āsār-e-manzil dekhne vaalo
kabhī ham ne bhī dekhā thā ġhubār-e-kārvāñ apnā
mizāj-e-husn par kyā kyā guzartā hai girāñ phir bhī
kisī ko aa hī jaatā hai ḳhayāl-e-nā-gahāñ apnā
azal se kar rahī hai zindagānī tajrabe lekin
zamāna aaj tak samjhā nahīñ suud o ziyāñ apnā
jamāl-e-dost ko paiham bikharnā hai sañvarnā hai
mohabbat ne uThāyā hai abhī parda kahāñ apnā
hamesha sham.a bhaḌkegī sadā paimāna chhalkegā
tirī mahfil meñ ham chhoḌ aa.e haiñ josh-e-bayāñ apnā