tumheñ jo mere ġham-e-dil se āgahī ho jaa.e
jigar meñ phuul khileñ aañkh shabnamī ho jaa.e
ajal bhī us kī bulandī ko chhū nahīñ saktī
vo zindagī jise ehsās-e-zindagī ho jaa.e
yahī hai dil kī halākat yahī hai ishq kī maut
nigāh-e-dost pe iz.hār-e-bekasī ho jaa.e
zamāna dost hai kis kis ko yaad rakkhoge
ḳhudā kare ki tumheñ mujh se dushmanī ho jaa.e
siyāh-ḳhāna-e-dil meñ hai zulmatoñ kā hujūm
charāġh-e-shauq jalāo ki raushnī ho jaa.e
tulū-e-sub.h pe hotī hai aur bhī namnāk
vo aañkh jis kī sitāroñ se dostī ho jaa.e
ajal kī god meñ 'qābil' huī hai umr tamām
ajab nahīñ jo mirī maut zindagī ho jaa.e