Qabil Ajmeri

hairaton ke silsile soz-e-nihan tak aa gae

Qabil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1931-1962
hairatoñ ke silsile soz-e-nihāñ tak aa ga.e
ham nazar tak chāhte the tum to jaañ tak aa ga.e
nā-murādī apnī qismat gumrahī apnā nasīb
kārvāñ kī ḳhair ho ham kārvāñ tak aa ga.e
un kī palkoñ par sitāre apne hoñToñ pe hañsī
qissa-e-ġham kahte kahte ham kahāñ tak aa ga.e
zulf meñ ḳhushbū na thī yā rañg aariz meñ na thā
aap kis kī aarzū meñ gulsitāñ tak aa ga.e
rafta rafta rañg laayā jazba-e-ḳhāmosh-e-ishq
vo taġhāful karte karte imtihāñ tak aa ga.e
ḳhud tumheñ chāk-e-garebāñ kā shu.ūr aa jā.egā
tum vahāñ tak aa to jaao ham jahāñ tak aa ga.e
aaj 'qābil' mai-kade meñ inqalāb aane ko hai
ahl-e-dil andesha-e-sūd-o-ziyāñ tak aa ga.e
Top Urdushayar.com