hoñToñ pe hañsī aañkh meñ tāroñ kī laḌī hai
vahshat baḌe dilchasp do-rāhe pe khaḌī hai
dil rasm-o-rah-e-shauq se mānūs to ho le
takmīl-e-tamannā ke liye umr paḌī hai
chāhā bhī agar ham ne tirī bazm se uThnā
mahsūs huā paañv meñ zanjīr paḌī hai
āvāra o rusvā hī sahī ham manzil-e-shab meñ
ik sub.h-e-bahārāñ se magar aañkh laḌī hai
kyā naqsh abhī dekhiye hote haiñ numāyāñ
hālāt ke chehre se zarā gard jhaḌī hai
kuchh der kisī zulf ke saa.e meñ Thahar jaa.eñ
'qābil' ġham-e-daurāñ kī abhī dhuup kaḌī hai