Qabil Ajmeri

hadse zist ki tauqir baDha dete hain

Qabil Ajmeri

Ajmer, Rajasthan, India

1931-1962
hādse ziist kī tauqīr baḌhā dete haiñ
ai ġham-e-yār tujhe ham to duā dete haiñ
tere iḳhlās ke afsūñ tire va.adoñ ke tilism
TuuT jaate haiñ to kuchh aur mazā dete haiñ
kū-e-mahbūb se chup-chāp guzarne vaale
arsa-e-zīst meñ ik hashr uThā dete haiñ
haañ yahī ḳhāk-basar soḳhta-sāmāñ ai dost
tere qadmoñ meñ sitāroñ ko jhukā dete haiñ
sīnā-chākān-e-mohabbat ko ḳhabar hai ki nahīñ
shahr-e-ḳhūbāñ ke dar-o-bām sadā dete haiñ
ham ne us ke lab o ruḳhsār ko chhū kar dekhā
hausle aag ko gulzār banā dete haiñ
Top Urdushayar.com