ġham chheḌtā hai sāz-e-rag-e-jāñ kabhī kabhī
hotī hai kā.enāt ġhazal-ḳhvāñ kabhī kabhī
ham ne diye haiñ ishq ko tevar na.e na.e
un se bhī ho ga.e haiñ gurezāñ kabhī kabhī
ai daulat-e-sukūñ ke talab-gār dekhnā
shabnam se jal gayā hai gulistāñ kabhī kabhī
ham be-kasoñ kī bazm meñ aa.egā aur kaun
aa baiThtī hai gardish-e-daurāñ kabhī kabhī
kuchh aur baḌh ga.ī hai añdheroñ kī zindagī
yuuñ bhī huā hai jashn-e-charāġhāñ kabhī kabhī