tazād-e-jazbāt meñ ye nāzuk maqām aayā to kyā karoge
maiñ ro rahā huuñ tum hañs rahe ho maiñ muskurāyā to kyā karoge
mujhe to is darja vaqt-e-ruḳhsat sukūñ kī talqīn kar rahe ho
magar kuchh apne liye bhī sochā maiñ yaad aayā to kyā karoge
abhī to tanqīd ho rahī hai mire mazāq-e-junūñ pe lekin
tumhārī zulfoñ kī barhamī kā savāl aayā to kyā karoge
tumhāre jalvoñ kī raushnī meñ nazar kī hairāniyāñ musallam
magar kisī ne nazar ke badle jo dil āzmāyā to kyā karoge
utar to sakte ho yaar lekin ma.aal par bhī nigāh kar lo
ḳhudā-nā-karda sukūn-e-sāhil na raas aayā to kyā karoge
kuchh apne dil par bhī zaḳhm khaao mire lahū kī bahār kab tak
mujhe sahārā banāne vaalo maiñ laḌkhaḌāyā to kyā karoge
abhī to dāman chhuḌā rahe ho bigaḌ ke 'qābil' se jā rahe ho
magar kabhī dil kī dhaḌkanoñ meñ sharīk paayā to kyā karoge