talab kī aag kisī shola-rū se raushan hai
ḳhayāl ho ki nazar aarzū se raushan hai
janam janam ke andheroñ ko de rahā hai shikast
vo ik charāġh ki apne lahū se raushan hai
kahīñ hujūm-e-havādis meñ kho ke rah jaatā
jamāl-e-yār mirī justujū se raushan hai
ye tābish-e-lab-e-lālīñ ye shola-e-āvāz
tamām bazm tirī guftugū se raushan hai
visāl-e-yār to mumkin nahīñ magar nāseh
ruḳh-e-hayāt isī aarzū se raushan hai