hastī ko apnī shola-ba-dāmāñ kareñge ham
zindāñ meñ bhī ga.e to charāġhāñ kareñge ham
barham hoñ bijliyāñ ki havā.eñ ḳhilāf hoñ
kuchh bhī ho ehtamām-e-gulistāñ kareñge ham
dāman kī kyā bisāt girebāñ hai chiiz kyā
nazr-e-bahār naqd-e-dil o jaañ kareñge ham
zulmat se be-karāñ to ujāle bhī kam nahīñ
har dāġh-e-dil ko aaj farozāñ kareñge ham
ab dekhte haiñ kaun uḌātā hai rañg-o-bū
apnā lahū sharīk-e-bahārāñ kareñge ham
jin ko fareb-e-shauq meñ aanā thā aa chuke
ab to tire karam ko pashīmāñ kareñge ham