barf se laḌtā thā mere paas paanī kyuuñ nahīñ
ab savāl uThtā hai dariyā meñ ravānī kyuuñ nahīñ
dāstāñ paḌh kar mirī aḳhbār meñ rotā hai vo
aa ke suntā dukh mirā merī zabānī kyuuñ nahīñ
maiñ tirā be-ḳhvāb bachcha maañ batā mere liye
koī lorī kyuuñ nahīñ koī kahānī kyuuñ nahīñ
Dūbnā chāhūñgā to ḳhushkī meñ ho jā.ūñgā ġharq
maiñ na pūchhūñgā kabhī dariyā meñ paanī kyuuñ nahīñ
merā qad ūñchā hai lekin bā-hunar vo bhī to haiñ
shahr ke boloñ pe terī mehrbānī kyuuñ nahīñ
paas us ke paisa bangle gāḌiyāñ shohrat bhī hai
'ashk' jī vo shaḳhs phir bhī ḳhāndānī kyuuñ nahīñ