in ke ruḳh par hijāb rahtā hai
jaise mah par sahāb rahtā hai
vasl kā jab savāl ho un se
bas ''nahīñ'' meñ javāb rahtā hai
paas rah kar bhī darmiyāñ apne
fāsla be-hisāb rahtā hai
husn vāloñ se jo vafā chāhe
us kā ḳhāna ḳharāb rahtā hai
ham-safar sohnī sī ho koī
mere ḳhuuñ meñ chanāb rahtā hai
misl-e-tā.er havā meñ uḌtā huuñ
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb rahtā hai
reg-e-sahrā unheñ nigaltī hai
jin kī rah meñ sarāb rahtā hai
maañ kī jis ko duā.eñ mil jaa.eñ
umr bhar kāmyāb rahtā hai
jaane kis ḳhaak se banā huuñ maiñ
ruuh meñ iztirāb rahtā hai
uljhe rishtoñ kī talḳh uljhan meñ
uljhā uljhā 'sahāb' rahtā hai