shahr-e-be-mehr meñ miltā kahāñ dildār koī
kaash mil jaatā hameñ majma-e-aġhyār koī
chiir de qalb-e-zamīñ toḌ de zanjīr-e-zamāñ
chheḌ ab aisā fasāna-e-dil-e-nādār koī
nāla-e-dil se jigar hotā hai chhalnī yārab
sabr kartī huuñ to chal jaatī hai talvār koī
bujh ga.ī rāh-e-vafā Duub ga.ī sub.h-e-umīd
le ke ab aa.egā kyā va.ada-e-dīdār koī
ek ek kar ke huī bazm-e-mohabbat ḳhālī
nazar aatā nahīñ ab yaar vafādār koī
jaane kin jabr kī zanjīroñ meñ jakḌī hai hayāt
haiñ kahīñ chāra-e-vahshat ke bhī āsār koī
ye zabānñ-bandī-e-ehsās ye jabr hālāt
jurm hai khole agar dīda-e-bedār koī